Man ke korey kaaghaz pe tasveer kheench lo Raam ki

This article is written by Avinash Scrapwala, a fellow enthusiast of Hindi movie music and a contributor to this blog. This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in other sites without the knowledge and consent of the web administrator of atulsongaday.me, then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day :

4673 Post No. : 16349 Movie Count :

4439

#The Decade of Seventies – 1971 – 1980 #
———————————————————–———-
# Bhoole-Bisre Geet # 138 # Missing Films -1971- 05 #
———————————————–

I have mentioned in my earlier posts that this year ‘2021’ is special for the movies released in the year ‘1971’ as they will complete their ‘fifty years’ of release simultaneously, as this year ‘2021’ progresses.

The year ‘1971’ saw one hundred and fifteen movies released in that year. We are going to see the total list in future posts on the blog. Today we will see the list of movies released between Jan to April(From01.01.1971 to 30.04.1971).

Here is the list: ‘1971’ movies (in alphabetical order) released between 01.01.1971 to 30.04.1971…

SNO Movie Title Director Passed by Censor Board Song Status on the blog
1 Aag Aur Daagh A. Salam 20.01.1971 3/6 Songs posted
2 Adhikaar S.M. Sagar 28.04.1971 Yippeeee’ed
3 Andaz Ramesh Sippy 23.04.1971 Yippeeee’ed
4 Chandan Kewal Mishra 23.03.1971 2/5 Songs posted
5 Ek Paheli Naresh Kumar 16.01.1971 4/6 Songs posted
6 Elaan K. Ramanlal 30.04.1971 Yippeeee’ed
7 Gambler Amarjeet 16.02.1971 Yippeeee’ed
8 Gehraa Raaz Niranjan 01.02.1971 Yippeeee’ed
9 Haseenon Ka Devataa Ravi Nagaich 18.02.1971 1 song posted
10 Jal Bin Machhali Nritya Bin Bijalee V. Shantaram 11.01.1971 6 of 8 Songs posted
11 Johar Mehmood In Hongkong S.A. Akbar 04.01.1971 4 of 6 Songs posted
12 Kaalaa Parvat M. Sathyu 24.03.1971 No songs/Not mentioned
13 Kahin Aar Kahin Paar Maruti 23.01.1971 2 of 6 Songs posted
14 Laakhon Mein Ek S.S. Balan 24.03.1971 4 of 6 Songs posted
15 Lagan Ramanna 17.03.1971 2 of 6 Songs posted
16 Maataa Vaishno Devi Satish Kumar 16.04.1971 Making its DEBUT Today
17 Main Sundar Hoon Krishnan Panju 18.03.1971 Yippeeee’ed
18 Mehboob Ki Mehandi H.S. Rawail 30.01.1971 Yippeeee’ed
19 Melaa Prakash Mehra 04.03.1971 Yippeeee’ed
20 Nayaa Zamaanaa Pramod Chakravarty 23.03.1971 Yippeeee’ed
21 Paaras C.P. Dixit 08.04.1971 Yippeeee’ed
22 Parde Ke Peechhey K. Shankar 16.03.1971 2 of 6 Songs posted
23 Pyaar Ki Kahaani Ravi Nagaich 20.04.1971 Yippeeee’ed
24 Raamu Ustaad Mohammad Hussain 16.02.1971 1 of 4 Songs posted
25 Reshamaa Aur Sheraa Sunil Dutt 26.04.1971 Yippeeee’ed
26 Sher- E- Vatan Harbans 06.01.1971 1 of 4 Songs posted
27 Ummeed Nitin Bose 27.04.1971 Yippeeee’ed
28 Upaasanaa Mohan 15.03.1971 Yippeeee’ed
29 Veer Chhatrasaal Harsukh Bhatt 22.03.1971 1 of 5 Songs posted

From the above list we can see that all movies for the ‘Jan-April 1971’ period have been represented on the blog except one movie i.e., ‘Maataa Vaishno Devi’.

Today we are introducing this movie on the blog.

“Maataa Vaishno Devi-1971’ a mythological movie was directed by Satish Kumar for ‘Lokmanch Pvt Ltd, Bombay’. It had Jayshree Gadkar, Abhi Bhattacharya, B.M. Vyas, Anant Kumar, Mohan Choti, Tun Tun, Jeevan, Niranjan Sharma, Pal Sharma, Jayshree T., Madhumati, Shefali, Meenakshi, Saroj Naik, Baby Mala, Bhagwan Sinha, Radheshyam, Ramlal, Moolchand, Vishwas, Vijay Mohan and others.

This movie was passed by Censor Board on 16.04.1971.

This movie had six songs written by B.D. Mishra and composed to music by Dilip Ray.
Here are the details of these six songs.

S.No. Song Title Singer/s
01 Jai Vaishno maataa, Prem se bolo jai maataa ki Mahendra Kapoor, chorus
02 Chaand ne aisa jaadu daala ki hoke matwaalaa Asha Bhonsle, Usha Khanna
03 Man ke korey kaagaz pe tasveer kheench lo Ram ki Manna Dey
04 O naadaan meri maan, tu naa chhed mujhe Asha Bhonsle
05 Man ke korey kaagaz pe tasveer kheench lo Raam ki Asha Bhonsle
06 Raavan phoonko dhoomdhaam se, vijay Raam ne paayi re bhaiyya Mahendra Kapoor, chorus

Today’s song is a multiple version song. Male version is sung by Manna Dey and it is lip synced on screen by Jeevan. The female version is sung by Asha Bhonsle (and chorus) and it is lip-synced on screen by Jayshree Gadkar.

Let us now listen to this beautiful bhajan. With today’s song ‘Maataa Vaishno Devi-1971’ makes its debut on the blog.

Manna Dey version

Asha Bhonsle version

Song-Man ke korey kaaghaz pe tasveer kheench lo Raam ki(Maata Vaishno Devi)(1971) Singer-Manna Dey/ Asha Bhonsle, Lyrics-B D Mishra, MD-Dilip Ray
Chorus

Lyrics

—————————-
(Manna Dey version)
—————————

shri raam
raam raam
shri raam

man ke korey
kaaghaz pe ae
tasveer kheench lo
raam ki ee
man ke korey
kaaghaz pe ae
tasveer kheench lo
raam ki
kankar se shankar tak gaaye
mahimaa jinke naam ki
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee

sooraj jaisa tej hai mukh pe
aur chandaa ka salonaapan
sooraj jaisa tej hai mukh pe
aur chandaa ka salonaapan
kesh hain kaale meghon jaise
mastak jaise neelgagan
nain kamal bhauhen kamaan si ee ee
nain kamal bhauhen kamaan si
honthhon mein chhavi muskaan ki ee
man ke korey
kaaghaz pe tasveer kheench lo
raam ki ee

parvat saa hai vaksh raam ka
bal agaadh hai baahon mein
parvat saa hai vaksh raam ka
bal agaadh hai baahon mein
har teerath har devaalaya hai
inke charan ki chhaaon mein
rang saanwlaa khiley ang pe
ae ae ae
rang saanwlaa khiley ang pe
shobha jaise shaam ki
man ke korey kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee

maathe tilak
kaan mein kundal
sheesh mukut man ko mohe
maathe tilak
kaan mein kundal
sheesh mukut man ko mohe
gal vaijayanti maal viraaje
peetambar tan pe sohe
dhoom machi hai
teen lok mein
ae ae ae ae
dhoom machi hai
teen lok mein
do akshar ke naam ki ee
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee
kankar se shankar tak gaaye
mahimaa jin ke naam ki
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee

—————————
(Asha Bhonsle version)
—————————

shri raam
shri ee raam
shri ee raam

man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki
kankar se shankar tak gaaye
mahimaa jin ke naam ki
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee

dharti ban ke bichhey hain wo hi
ambar ban ke chhaaye hain aen aen
dharti ban ke bichhey hain wo hi
ambar ban ke chhaaye hain
jal ban kar behten hain wo hi
agin pawan mein samaaye hain
ye sundar sansaar hai jhaanki ee
ee ee
ye sundar sansaar hai jhaanki
raam prabhu chhavi dhaam ki
man ke korey
kaagaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee

wo hi sakhaa
wo hi swaami hain
sab ke wo hi pitaa maataa
wo hi sakhaa
wo hi swaami hain
sab ke wo hi pitaa maataa
saare rishte naate jhoothhe
sachchaa unka hi naataa
raam ka jo ho jaaye usey kya
aa aa aa aa aa
raam ka jo ho jaaye usey kya
chinta hai dhan dhaam ki
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee

poojan sumiran
bhajan bhakti hai
prabhu ke paane ki raahen aen aen
poojan sumiran
bhajan bhakti hai
prabhu ke paane ki raahen
kewal prem se raam reejhhte
dhan daulat kachhu naa chaahen
le lo mol tum preet raam ki
ee ee ee ee ee
le lo mol tum preet raam ki
bikti hai bin daam ki
man ke korey
kaaghaz pe
tasveer kheench lo
raam ki
kankar se shankar tak gaaye
mahimaa jin ke naam ki
man ke korey
kaagaz pe
tasveer kheench lo
raam ki ee
man ke korey
kaaghaz pe ae ae
tasveer kheench lo
raam ki ee
man ke korey
kaaghaz pe ae ae
tasveer kheench lo
raam ki ee



source https://atulsongaday.me/2021/05/04/man-ke-korey-kaaghaz-pe-tasveer-kheench-lo-raam-ki/

from Latest News pz10.com https://ift.tt/3uc6bnz


from https://lyricsjohal.blogspot.com/2021/05/man-ke-korey-kaaghaz-pe-tasveer-kheench.html Man ke korey kaaghaz pe tasveer kheench lo Raam ki
Loading...