Sar Pe Saaya Sa Dast-E-Dua Yaad Hai - Bashir Badr | Shayari And Ghazal
Sar Pe Saaya Sa Dast-E-Dua Yaad Hai
Sar pe saaya sa Dast-E-Dua yaad hai
Apne aangan me ik ped tha yaad hai
Jis me apni parindon se tashbeeh thi
Tum ko school ki wo dua yaad hai
Aisa lagta hai har imthaan ke liye
Zindagi ko humara pata yaad hai
Maiqde me azaan sun ke roya bahut
Is sharaabi ko dil se khuda yaad hai
Main puraani haweli ka parda mujhe
Kuch kaha yaad hai kuch suna yaad hai
सर पे साया सा दस्त-ए-दुआ याद है
अपने आँगन में इक पेड़ था याद है
जिस में अपनी परिंदों से तश्बीह थी
तुम को स्कूल की वो दुआ याद है
ऐसा लगता है हर इम्तहाँ के लिये
ज़िन्दगी को हमारा पता याद है
मैकदे में अज़ाँ सुन के रोया बहुत
इस शराबी को दिल से ख़ुदा याद है
मैं पुरानी हवेली का पर्दा मुझे
कुछ कहा याद है कुछ सुना याद है
Written By:
Bashir Badr
source https://www.99lyricstore.com/2021/05/sar-pe-saaya-sa-dast-e-dua-yaad-hai.html
from https://lyricsjohal.blogspot.com/2021/05/sar-pe-saaya-sa-dast-e-dua-yaad-hai.html Sar Pe Saaya Sa Dast-E-Dua Yaad Hai - Bashir Badr | Shayari And Ghazal