Wahi Taaz Hai Wahi Takht Hai - Bashir Badr | Shayari And Ghazal
Wahi Taaz Hai Wahi Takht Hai
Wahi taaz hai wahi takht hai wahi zahar hai wahi jaam hai
Ye wahi khuda ki zameen hai ye wahi buton ka nizaam hai
Bade shauk se mera ghar jala na aanch koi tujh pe aayegi
Ye zubaan kisi ne khareed li ye kalam kisi ka gulaam hai
Main ye maanta hoon mere diye teri aandhiyon ne bhujha diye
Magar ik jugnoo hawaaon me abhi raushni ka imaam hai
वही ताज है वही तख़्त है वही ज़हर है वही जाम है
ये वही ख़ुदा की ज़मीन है ये वही बुतों का निज़ाम है
बड़े शौक़ से मेरा घर जला कोई आँच न तुझपे आयेगी
ये ज़ुबाँ किसी ने ख़रीद ली ये क़लम किसी का ग़ुलाम है
मैं ये मानता हूँ मेरे दिये तेरी आँधियोँ ने बुझा दिये
मगर इक जुगनू हवाओं में अभी रौशनी का इमाम है
Written By:
Bashir Badr
source https://www.99lyricstore.com/2021/05/wahi-taaz-hai-wahi-takht-hai-bashir.html
from https://lyricsjohal.blogspot.com/2021/05/wahi-taaz-hai-wahi-takht-hai-bashir.html Wahi Taaz Hai Wahi Takht Hai - Bashir Badr | Shayari And Ghazal